Friday, 1 November 2013

Kuch aur baate kia karo,

Kuch aur baate kia karo,
mujhse pyaar ki baate na kia kro,
zindagi hai do pal ki, mil k bitani hai,
gum k ansu piya karo aur khushi k ansu bahaya karo..

Wo chahat k din bhi kitne suhaane the,

Wo chahat k din bhi kitne suhaane the,
berang sapne bhi kitne rangeele the.
Ek roz usne in sapno ko tod diya,
mera saath beech majdhar me chhor dia..

Nikalte hai mere aksh jo in ankho se,

Nikalte hai mere aksh jo in ankho se,
machalte hai ye dhaar bnke bahne se..
Ye aksh ankho me hi sukh jaate hai,
beh na paane ki tadap lekar fanaa ho jate hai.

Kuch is tarah se aake mujhe brbad kia hai,

Kuch is tarah se aake mujhe brbad kia hai,
tu sirf itna bta k isme meri khata kya hai,
kyu tune is masum dil ko toda hai?
Kyu mujhe pyar sikha k mujhe hi chora hai..

Tum laut aana.

Jab kabhi tera dil ghabrae,
to laut aana..
Tum laut aana..
Jab kabhi tujhe akelapan satae,
ek pal bhi chain tujhe na ae,
gar ek pal bhi tujhe meri yaad ae,
to laut aana..
Tum laut aana.

Jab kbhi saawan ki baarish ho,
tere ashk meri yad me bhte ho,
to daud k mere seene se lag jaana,
phir kbhi na jaana,
pr jaanejana tu laut aana.

Kabhi tu bhi kahe k tum bin hum reh nai sakte,

Kabhi tu bhi kahe k tum bin hum reh nai sakte,
k ye jahan ab tum bin berang sa lagta hai,
tere hr ansu ab mere aur mai tere lie,
k ab tujhe khone se darr sa lagta hai..

Suno meri jaanejana,

Suno meri jaanejana, 
mujhse ruth k kbi na jaana, 
bs itna sa sun lo mere dil ka fasana, 
bhale hi ruth jaae mujhse ye sara zamana, 
pr meri jaanejana mujhse ruth k na jana.. 
Meri har sans har dhadkankhti hai tere pyar ka fasana, 
pyar me to hota hi hai ye ruthna manana, 
bs isi trh apne pyar ko mujhse jatana, 
par jaanejana mujhse ruthk naa jaana..

aao tumhe sunata hu ek ladki ki kahaani,

aao tumhe sunata hu ek ladki ki kahaani,
jiske kuch thi apni ada, apni hi kuch rawani..

un dino chand uski jhalak dekhne ko ata tha,
apni khoi chandani ko wo usme nihaarta tha..
us chand ne kuch is tarah use deewana kiya tha,
use chand se mile bina ek pal bhi raas na aata tha..
kuch uljhe hue se sawal wo chand se milke suljhaati thi,
jo bune the usne sapne, sang chand se rachna krti thi..
Ek roj usne poocha chand se,
k mera chand mujhse kb milne aayega??
jo mujhe apni chandni ki trh apne paas rakhega,
mere bina ek pal bhi na reh sakega,
jiske bina mai adhuri hongi..
tab chand ne kaha suno deewani,
tera chand mujhme tujhko dhundhta hai,
aur yahi sawaal mujhse bar bar puchta hai..
ek roj wo tujhse milne aayega,
tujhe apni chandni bna k apne sath le jayega..
phir wo tumhara chand aur tum uski chandni hogi,,
tumhari is duniya me ek anokhi prem kahani hogi..

ye thi meri chandni ki kahani,
jo thi aapni chand ki deewani..